aaj matam bapa hai maula ka
zikr ghar ghar hua hai maula ka
waar aise kiya hai zaalim ne
zarb se sar phata hai maula ka
aaj matam bapa hai...
hogayi surkh masjid e kufa
khoon aise baha hai maula ka
aaj matam bapa hai...
ro ke hasnain karte hai naale
unko sadma bada hai maula ka
aaj matam bapa hai...
ibne muljim ne maah e ramzan may
khoon na haq kiya hai maula ka
aaj matam bapa hai...
aaj mushkil kusha ki rehlat hai
matami ghamzada hai maula ka
aaj matam bapa hai...
peet'ti sar hai zainab o kulsoom
jab janaza chala hai maula ka
aaj matam bapa hai...
qabr thar'ra rahi thi zehra ki
dafn jis dam hua hai maula ka
aaj matam bapa hai...
dukh zada hai bober isi gham may
aaj taboot utha hai maula ka
aaj matam bapa hai...