uth gaya zainab ke sar se aaj saaya baap ka
ab na dekhegi kabhi ghamkhaar chehra baap ka
ruqsat e aakhir ki manzil hai elaahi khair ho
hai qayamat ghar se jaata hai janaza baap ka
uth gaya zainab ke sar se...
ya nabi allah behre fatema aa jaiye
aan ke de dijiye bachon ko pursa baap ka
uth gaya zainab ke sar se...
baam o dar arshe elaahi ke larazte hai udhar
padh rahi hai zainab o kulsoom nauha baap ka
uth gaya zainab ke sar se...
betiyon ko sabr ki talqeen koi kya kare
saamne jis waqt ke rakha ho laasha baap ka
uth gaya zainab ke sar se...
haye re aulaad e zehra ki ghareebi al amaan
waqt ne kaisa diya ghurbat may sadma baap ka
uth gaya zainab ke sar se...
kis tarha ashkon ko roke fatema ki betiyan
khoon may dooba hua dekha hai chehra baap ka
uth gaya zainab ke sar se...
beh padegi chashm be-saaqta ashk e furaat
yaad jab aa jayega beti ko lehja baap ka
uth gaya zainab ke sar se...
ek beti zakhmi sar ko dekhti thi baar baar
ek beti dekhti hai zakhmi seena baap ka
uth gaya zainab ke sar se...
dayam o yazdan likhe kaise bahot dushwar hai
betiyon ke saath jo hota hai rishta baap ka
uth gaya zainab ke sar se...