Kanz e Aza

Dushman Ko Bhi

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Dayam Najafi. Lyrics in Roman Urdu.

daaghe jawan dekh ke shabbir ne kaha

dushman ko bhi khuda na dikhaye pisar ka daagh


karta hoo baargah e elaahi mein ye dua

dushman ko bhi khuda na dikhaye pisar ka daagh


jis ka jawan laal ho akbar sa naujawan

khud aake jiska sadqa utaare hai kehkashan

sadma koi uthaye na aise jawan ka

dushman ko bhi khuda na...


bichda jawan to phir nahi jeene ki koi chaah

ta umr khoon ke ashk hi barsaati hai nigaah

hota hai band jeene ka har ek raasta

dushman ko bhi khuda na...


seh jaye gar ye sadma to himmat hai baap ki

warna jawan ke saath hi mayyat hai baap ki

mayyat jaean ki goya janaza hai baap ka

dushman ko bhi khuda na...


humraah tere hogaya ruqsat hamara chain

ay mere laaal baad tere kab raha hussain

sheh ne jawan ki laash pe nauha yehi padha

dushman ko bhi khuda na...


dil tukde tukde hogaya kisko dikhaun mai

kya kaifiat hai rooh ki kisko sunaun mai

ye keh ke khoon bahata hai zehra ka dilruba

dushman ko bhi khuda na...


hasrat thi sar pe sehra sajaunga mere laal

haathon se apne dulha banaunga mere laal

armaan saare khaak huwe wa musibata

dushman ko bhi khuda na...


awaaz de rahe hai bulaate hai tumko hum

labbaik to kaho tumhe allah ki qasam

yun daagh deke baap ko jao na mehlekha

dushman ko bhi khuda na...


har lamha teri yaad satayegi baap ko

tasveer teri khoon rulayegi baap ko

ye daagh leke kaise jiyega pidar tera

dushman ko bhi khuda na...


daaghe jawan libaas e zaeefi pinhata hai

dunya ko baap ke liye turbat banata hai

hai lab pe ek baap ke bas itni ilteja

dushman ko bhi khuda na...


majboor hoo sunaayi nahi deta kya karoo

khud tum galay se aa mil lago aisa kya karoo

dayam tha baap ka yehi mayyat pe marsiya

dushman ko bhi khuda na...