ek beta hai hassan ek hai hussain
dono hai zehra ka dil ka chain
ibne al hassan ibne al hussain
haye hassan waye hussain
pukari maa mere shahzaade
ek ka janaza teeron par aa gaya
ek ke janaze par teeron ki hai bauchaar
boli ye ro kar maa ay mere noor e ain
ibne al hassan ibne al hussain
haye hassan waye hussain
pukari maa mere shahzaade
ek ka kafan haye sabz qabaa ka tha
ek ka kafan haye khaake karbala hua
noore chashme ahmed zehra ke dil ka chain
ibne al hassan ibne al hussain
haye hassan waye hussain
pukari maa mere shahzaade
girya zameen hui girya falak hua
gham mein shehzadon ke khoon roye mustufa
hai hashr ka samaa barpa hai shor o shain
ibne al hassan ibne al hussain
haye hassan waye hussain
pukari maa mere shahzaade
turbat e mujtaba teht e shams o qamar
laasha e shaahe deen aur jalti rayt par
haye re haye re ye ghurbat e sibtain
ibne al hassan ibne al hussain
haye hassan waye hussain
pukari maa mere shahzaade
haye baade qaza teeron ka silsila
dono ki laashon ka manzar hai ek sa
ummat ne kab diya aale nabi ko chain
ibne al hassan ibne al hussain
haye hassan waye hussain
pukari maa mere shahzaade
qalb e maula hassan tukdon mein bat gaya
qalb e shaahe zaman zakhmon se phat gaya
kehti rahi ye maa haye haye hasnain
ibne al hassan ibne al hussain
haye hassan waye hussain
pukari maa mere shahzaade
itrat pe royenge ye arz ye samaa
royegi ta-abad tum dono ko ye maa
ay meri jaan hassan ay meri jaan hussain
ibne al hassan ibne al hussain
haye hassan waye hussain
pukari maa mere shahzaade
dayam e gul figaar kaise paaye qaraar
chashme yazdan lahoo roti hai zaar zaar
sunke sar e majlis ek dukhiya maa ke bain
ibne al hassan ibne al hussain
haye hassan waye hussain
pukari maa mere shahzaade