jo tha batool ka wo azadaar wo uth gaya
bewaon ka yateemon ka ghamkhaar uth gaya
aafat na aaye koi bhare ghar ki khair ho
maa ki dua hai aale payambar ki khair ho
ab khaafile ka khaafila salaar uth gaya
jo tha batool ka wo...
sadaat pe ajab hai masayab ka silsila
kufe ki sar zameen pe ye kya ghazab hua
mazloomiyat ka aaj tarafdaar uth gaya
jo tha batool ka wo...
hyder ke khoon se hogaya tar khaana e khuda
sar peet'te hai dete hai jibreel ye sada
mushkil kusha e ahmed e mukhtar uth gaya
jo tha batool ka wo...
bhookon ko kaun khana khilayega shab dhale
ab kaun gham ghareebon ka batega shab dhale
bewarison tumhara madadgaar uth gaya
jo tha batool ka wo...
rote hai gham may hyder e safdar ke khaas o aam
be-aas ro ke lab pe ubharta hai ye kalaam
hum lut gaye hamara nigehdaar uth gaya
jo tha batool ka wo...
rauze pe mustafa ke hai ek hashr ka samaa
zehra pukarti hai lehad may ke al-amaan
aulaad e mustafa ka madadgaar uth gaya
jo tha batool ka wo...
amma ke baad baap ka saaya nahi raha
kehti hai sar ko peet ke ye binte mustafa
haye haye saron se saaya e dewaar uth gaya
jo tha batool ka wo...
juz ashke gham bahane ki dayam nahi sabeel
yazdan ye keh raha hai sar e arsh jibraeel
matam karo ke hyder e karraar uth gaya
jo tha batool ka wo...