mar gaya sher darya pe jaa kar
ran mein kisko pukaregi zainab
dilbar e fatema tere sadqe
tujhko kaise bachayegi zainab
thi jis se qalb ko quwwat guzar gaya hae hae
nigahein dhoond rahi hai kidhar gaya hae hae
lab e faraat mera sher mar gaya hae hae
apne bhai ko ahle sitam se
haye kaise bachayegi zainab
mar gaya sher darya pe...
hujoom e ahle sitam aur ali ka noor e nazar
sipaahe shaam ke lashkar mein mustafa ka qamar
hadh e nigaah talak ahle zulm ahle shar
is qayamat mein afsos kis ko
sheh ka munis banayegi zainab
mar gaya sher darya pe...
ajeeb yaas se takti hai chehra e sarwar
na bhai bhanje bete na munis o yawar
na ab hai aun o mohamed na qasim o jafar
behre imadad ghurbat mein ghazi
bolo kisko bulayegi zainab
mar gaya sher darya pe...
faza e nehr haram ki sada se goonjti hai
chale bhi aao ke aale rasool pyasi hai
tadap ke zainab e nashaad bas ye kehti hai
hai yateem baad tere baradar
bahi ko ro na payegi zainab
mar gaya sher darya pe...
mere jari teri ghairat ko hai salaam mera
tujhe ghareeb baradar ka kitna dhyan raha
janaza sheh ko na laane diya suye qaima
itna batlade kaise tera gham
apne dil pe uthayegi zainab
mar gaya sher darya pe...
qawi thay tere hi dam se imam ke baazu
huwe hai kham teri furqat se zeest ke gaysu
shikasta hogaya umeed e aal ka pehlu
ab tere baad waada hai tujhse
laashe akbar uthayegi zainab
mar gaya sher darya pe...
rida bhi sar pe na howegi ay mere safdar
hujoom e dard o alam aur qalb e khasta jigar
har ek qadam nayi mushkil jafa shiyar ka darr
aise aalam mein itna bata do
shaam kis tarha jayegi zainab
mar gaya sher darya pe...
nigahein phayr li kyunkar mere ghayoor jari
utho utho zara uth kar khabar lo tum be keen
sada e dayam o yazdan labe ghareeb pa thi
baad tere nishan e mazalim
haye kisko dikhayegi zainab
mar gaya sher darya pe...