waqte aakhir pyase honton ki sada abbas thi
bhai tha khanjar ki zad par aur behen be-aas thi
baade saqqa phir na aaya lab pe pani ka sawaal
shaah ki bali sakina kis qadar hassaas thi
waqte aakhir pyase...
kha rahi hai ab tamache baap ke jaane ke baad
wo sakina jo shahe deen ke liye almaas thi
waqte aakhir pyase...
kar diye qurban baazu mashk pani ke liye
saamne ghazi ke bas aale nabi ki pyaas thi
waqte aakhir pyase...
jis ghadi thi loot asbaab e nabi ki dasht mein
aise mushkil mein sada e aal ya abbas thi
waqte aakhir pyase...
kat gaye us sher ke baazu labe nehre faraat
karbala ke dasht mein jo bekason ki aas thi
waqte aakhir pyase...
chal rahi thi jis ghadi halqe shahe deen par churi
haye ghurbat us ghadi shabbir ki maa paas thi
waqte aakhir pyase...
bhejhte hi bhai ko shabbir ne thaami kamar
ruqsati ye sher e hyder kis qadar hassaas thi
waqte aakhir pyase...
saamne se hamlawar ho na paayi fauje shaam
kis qadar ahle sitam pe haibate abbas thi
waqte aakhir pyase...
dayam o yazdan hisaar e bawafa se peshtar
zindagani apni zer e saaya e iflaas thi
waqte aakhir pyase...