Kanz e Aza

Shaam e Ghariban

A noha for Shaam e Ghareeba, written by Dayam Najafi. Lyrics in Roman Urdu.

ya mustafa ya ali ya zahra ya zahra

kya aayi qayamat


ye bekason ki shaam aseeron ki shaam hai

ye tashnalab ghareeb shaheedon ki shaam hai

suraj gawah hai ke yateemon ki shaam hai

ye shaam e ghariban hai ye shaam e ghariban hai

ye shaam e ghariban hai ghareebon ki shaam hai


pardes mein ghareeb musafir ki shaam hai

ay zikr e kibriya tere zakir ki shaam hai

deen e mohammadi tere nasir ki shaam hai

ye shaam e ghariban hai...


tapti hui zameen pe hai tashna labon ki shaam

mazloomon ki ye shaam hai ye bakson ki shaam

ye shaam hai aseeron ki ye qaidiyon ki shaam

ye shaam e ghariban hai...


apne gharon se door hai ye ghamzadon ki shaam

jo hai nigaah e aal mein un aansuon ki shaam

doobe jo apne khoon mein un gaysuon ki shaam

ye shaam e ghariban hai...


bewarison ki shaam hai shaam e alam hai ye

behaal jis mein bacche hai wo shaam e gham hai ye

shaam e musafiran hai ye shaam e haram hai ye

ye shaam e ghariban hai...


zulm o sitam ki dasht mein yan inteha hai ye

tashna labon ke waaste tayghe jafa hai ye

saydaniyo ke waaste shaam e qaza hai ye

ye shaam e ghariban hai...


kehte hai jisko shaam e ghariban wo shaam hai

aayi jo baad e shaah e shaheedan wo shaam hai

khoon jis mein roya aankhon se quran wo shaam hai

ye shaam e ghariban hai...


bhooli na jisko aale payambar wo shaam hai

veeran hua hai jis mein bhara ghar wo shaam hai

jis mein luti hai aal ki chadar wo shaam hai

ye shaam e ghariban hai...


ye bekason shaheedon ke laashon ki shaam hai

jism e shahe ghareeb ke zakhmon ki shaam hai

shohda e haq ke khoon ke khatron ki shaam hai

ye shaam e ghariban hai...


sadaat ke lute huwe kunbe ki shaam hai

baysheer ke jale huwe jhoole ki shaam hai

naushaah ke kate huwe sehre ki shaam hai

ye shaam e ghariban hai...


binte nabi ke haye lute ghar ki shaam hai

ghurbat ki shaam hai shahe bebar ki shaam hai

bikhre huwe nabi ke gul e tar ki shaam hai

ye shaam e ghariban hai...


dayam hai ye aseer ye aale aba ki shaam

yazdan hai ye sakina pe jor o jafa ki shaam

suraj ghuroob hogaya aayi qaza ki shaam

ye shaam e ghariban hai...