haye aulaad e murtaza par tooti hai kya qayamat
bacche tadap rahe hai baba ka dekh kar sar
jibreel ye tadap kar awaaz de rahe hai
maara gaya hai logon sajde may sher e daawar
haye aulaad e murtaza par...
sar se lahoo musalsal behta hi jaa raha hai
kaise sambhale shabbar baba ka jism e laaghar
haye aulaad e murtaza par...
itna bataye mujhko baba pe kya hai guzri
ro ro ke poochti hai bhai se binte hyder
haye aulaad e murtaza par...
tar khoon se jabeen hai dekha jo bawafa ne
chauda baras ka ghazi roya bilak bilak kar
haye aulaad e murtaza par...
hyder ki chashme tar may kufe ka ek samaa hai
majme may hogi zainab ek din yahin khule sar
haye aulaad e murtaza par...
mazloom ki himayat hargiz na tark karna
dunya se jaate jaate ye keh rahe hai hyder
haye aulaad e murtaza par...
phir se yateem hum ko na kijiyo khudaya
kufe ke sab yateemon ki hai dua ye lab par
haye aulaad e murtaza par...
qadmon pe rakh ke sar ko zainab ye keh rahi hai
bichde jo aap baba mar jayegi ye dukhtar
haye aulaad e murtaza par...
baba ke baad jeena dushwaar hai hamara
ek pal sukoon na hoga ab aal ko mayassar
haye aulaad e murtaza par...
ghash khaa rahi hai zainab bacche tadap rahe hai
aale nabi may dayam barpa hai ek mehshar
haye aulaad e murtaza par...