hogaya jab khana-e- zehra mein ek meshar bapa
thar thara uthi zameen aur asman hilne laga
aarahi thi yeh daro deewar-e- kufa se sada – 2
uth gaya hain aaj baba zainab-o-kulsum ka
1. uth gaya maula jaha se hashr ka hangam hai
zindagi be aasra hain har taraf kohram hain
hain jaha ka zarra zarra soug mein duba huwa
uth gaya hain aaj baba . . . . .
2. ho gaya khamosh jab se malik -e- kouno maka
chup hai mehrab -e- yaqi aur chup hai minare aza
hain dayare deen -e- ahmed par udasi ki faza
uth gaya hain aaj baba . . . . .
3. bekaso mazloom ka hajat rawa koi nahi
ab kise awaaz de mushkil kusha koi nahi
koun dega ab sahara be saharon ko bhala
uth gaya hain aaj baba . . . . .
4. ghar se bahar aana jaye bibiya rote huwe
koi suraj se yeh kehde roshni roke rahe
kar rahi hain sar khule saidaniya aaho buka
uth gaya hain aaj baba . . . . .
5. surq hain ekisvi ki subha ka chehra farid
waris -e- kaaba huwa hain khanaye haq mein shaheed
subhe mehshar ka sama hain hartaraf chaya huwa
uth gaya hain aaj baba . . . . .