halmin naserin yan suroona . . .
labbaik ya hussain labbaik ya hussain . . .
wa qillata nasera . . .2
wa qillata nasera . . .2
1. sab maut se rishta jod gaye
abbas kamar ko tod gaye
akbar bhi akela chod gaye
shabbir ke lab par tha nauha
2. beti ko kya rulwaoge
batlao mujhe kab aaoge
seeney pe nahi sulwaoge kyun rote ho kehkar aye baba
3. shabbir shahadat payega
besar lasha reh jayega
yaha kaun madad ko ayega
aye kash koi dafna deta
4. jab dil bhi huwa pani pani
main dena saka khatra pani
akbar ne kaha baba pani
us waqt koi pani deta
5. kat-ta tha gala shai sehte rahe aur khoon ke ansoo behte rahe
dam jata raha shai kehte rahe
abbas mere bhaiya bhaiya
6. sarwar jo gaye dariya ke kharib
abbas kahin the haath kahin
tab kaanp gayi karbal ki zameen
ab koun muhafiz hain mera
7. jab karbobala yaad aati hain
hum shiyon ko rulwati hai
sarwar ki sada tadpati hai
kya dard mein doobe nale the
8. mazloom ne di halmin ki sada
nusrat hain karo matam giriya
dawar ka yeh dilse hain kehna
kis tarha se pura ho nauha
wa qilata nasera wa qillate nasera
wa qilata nasera wa qillata nasera