Kanz e Aza

Waade Kiye Hussain

A noha for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

waade kiye hussain ne jitne thay sab nibha diye

haq ke diye jala diye ghar ke diye bujha diye


raushan kiye charagh e haq is tarha se hussain ne

apne lahoo se raaste sab deen ke jag maga diye

waade kiye hussain ne...


sabr o raza ki taygh se kaata gala yazeed ka

kohe alam utha liye qasr e sitam gira diye

waade kiye hussain ne...


jo tha khuda ki raah may sab ka wo sab luta diya

ghar to ujad gaya magar haq ke chaman basa diye

waade kiye hussain ne...


soyi hui thi ummate ahmed usay jaga diya

tapti hui zameen par laqte jigar sula diye

waade kiye hussain ne...


humko darayengi bhala kya mushkilein jahan ki

dard e gham e hussain ne hai hausle badha diye

waade kiye hussain ne...


hum se kahan huye sawaal munkir nakeer to faqad

naam e ali zaban pe aaya to muskura diye

waade kiye hussain ne...