Kanz e Aza

Wavaila Wavaila

A noha for Imam Hussain (a.s) (2026). Lyrics in Roman Urdu.

hussain hussain shaheed e karbala hussain


ye ran mein kehti thi zehra hussain wavaila wavaila

shaheed tu hua pyasa hussain wavaila wavaila


mere hussain mere teen roz ke pyase

pade ho khaak pe tanha hussain wavaila wavaila

ye ran mein kehti thi...


tumhari pyaas pe khaaya na rehm zaalim ne

diya na pani ka khatra hussain wavaila wavaila

ye ran mein kehti thi...


diya na gor o kafan tum ko qaume be-deen ne

pada hai dhoop mein laasha hussain wavaila wavaila

ye ran mein kehti thi...


sakina baap ke laashe ko dhoondne nikli

to ro ke kehta tha sehra hussain wavaila wavaila

ye ran mein kehti thi...


ali ki betiyan karti thi bain maqtal mein

mita hai gulshan e zehra hussain wavaila wavaila

ye ran mein kehti thi...


zameen e garm pe pamaal jab huwe laashe

furaat karti thi nauha hussain wavaila wavaila

ye ran mein kehti thi...


behen ke saamne jalti zameen par tera

gala layeeno ne kaata hussain wavaila wavaila

ye ran mein kehti thi...


kisi ke seene mein barchi kisi ke halq pe teer

kisi ka tukde hai laasha hussain wavaila wavaila

ye ran mein kehti thi...