Kanz e Aza

Ya Ali o ya Ali

A noha for Imam Ali (a.s), written by Kumail Akbarabadi (2026). Lyrics in Roman Urdu.

dard mein doobe hai sabhi matami

sab ki zabano pe hai nauha yehi

ya ali o ya ali o ya ali


hogaye lawaris o barbad hum

haye ye kaisa hua maula sitam

aap ke gham mein hai har ek aankh nam

matami halqon mein hai seena zani

ya ali o ya ali...


hai ye ghareebon ke labon par sawaal

kaun hi rakhega hamara khayaal

chod gaye hum ko shahe zuljalal

aayi musibat ki ye kaisi ghadi

ya ali o ya ali...


shor hai kufe mein ye kya ho gaya

shere khuda zer e lehad so gaya

noor nigahon ka kahin kho gaya

phail gayi chaaron taraf teeragi

ya ali o ya ali...


ghash mein hai shabbir to naala hassan

zainab o kulsoom hai tashna dahan

charon taraf ghar mein hai ranj o mehan

khaake yateemi hai saron par padi

ya ali o ya ali...


sunke khabar qatl ki sab gham gusar

rote hai sar peet ke sab zaar zaar

faaqa kashon ki bhi lagi hai qataar

sher ke le aaye hai pyaale se sabhi

ya ali o ya ali...


zarb ke lagne se ye ehsaas hai

jaan ke bachne ki na kuch aas hai

sar ko jhukaye huwe abbas hai

aur hai aankhon se tapakti nami

ya ali o ya ali...


hogaye barbaad yehi bain hai

ghar ke sabhi log hi bechain hai

sab ko samayte huwe hasnain hai

laayi hai kis mod pe ye zindagi

ya ali o ya ali...


kya hai alam kis ko bataye bhala

zakhme jigar kis ko dikhaye bhala

kis ko ye roodad sunaye bhala

aagayi taqdeer mein ye bebasi

ya ali o ya ali...


bekas o lachaar hai aamir kumail

aap ke ghamkhwar hai aamir kumail

sheh ke azadaar hai aamir kumail

karte hai bas aap ki ye naukri

ya ali o ya ali...