Kanz e Aza

Ya Ali Wavaila

A noha for Imam Ali (a.s), written by Zeeshan Abidi (2026). Lyrics in Roman Urdu.

mushkil kusha sher e khuda haajat rawa maara gaya

ali hyder e karrar ali kul ka madad gaar

mera sayyed o sardar ali qatl hua hai

sab mil ke karo hyder e karrar ka matam


ya ali wavaila ali ali wavaila

kaho haan kaho ashaduana aliun waliullah


tera ye gham ali murtaza bhoolenge na hum ahle aza

yaad hamay rahega sada kufa hai aaghaz e karbobala

namazi pe hua waar chali sajde mein talwaar

giri farsh pe dastaar ali qatl hua hai

hum royenege ramzan ho ya maahe moharram

ya ali wavaila...

kaho haan kaho...


jab ye ali madine mein tha bandha gaya tha rasan mein gala

kehte hai jise wajhullah dunya ne usko na pehchana

ali shohar e zahra wilayat ka shehenshah

ghareebon ka sahara ali qatl hua hai

hasnain shareefain buka karte hai paiham

ya ali wavaila...

kaho haan kaho...


zainab wo teri laadli tere bina na jee paayegi

karti thi wo duyein yehi rahe salamat mere baba ali

hua zakhmi tera sar badan khoon mein hai tar

na mar jaaye wo sun kar ali qatl hua hai

beti ko teri jeene nahi dega tera gham

ya ali wavaila...

kaho haan kaho...


kufe ke yateemon suno milne nahi ab aayega wo

khana tumhe khilata tha jo maine kafan pehnaya hai usko

inhi haathon se wallah uthaya hai janaza

mere saamne baba ali qatl hua hai

bole ye hassan haye yateem aaj huwe hum

ya ali wavaila...

kaho haan kaho...


abbas ke baba ki shahadat hai karo matam

zehra ke gharane mein qayamat hai karo matam

tayyar janaza hai musibat hai karo matam

haan zer e kafan pehli imamat hai karo matam


taboot uthao dunya ko batao

mehrab o musalla hai lahoo mein dooba

kaho ya ali maula hai jibreel ka nauha

do abbas ko pursa ali qatl hua hai

bolo ye julooson mein uthaye huwe parcham


laanala ala adaeka ya ali lanat beshumar


tere dushman pe mere maula ali shaam o seher

lanat beshumar

ta qayamat na rukega kabhi lanat ka safar

lanat beshumar

kulle emaan ko sajde mein kiya tu ne shaheed

sog mein hogayi tabdeel hamari har eid

lanat beshumar

kehte hai yehi zeeshan aur irfan e aza

ay dushmane sher e khuda

lanat beshumar