Kanz e Aza

Yateemo ka Sahara

A noha for Imam Ali (a.s), written by Zeeshan Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

aaj kufe ke yateemo ka sahara na raha

haye abbas e almadar ka baba na raha


aasman rone laga gham ki hawa aisi chali

shor masjid se utha haye ali haye ali

sab ka hamdard tha jo aaj wo maula na raha

haye abbas e almadar ka...

aaj kufe ke yateemo ka...


kaisi masjid mein namazi pe sitamgaari hai

sar shikasta hai qayamat hai lahoo jaari hai

bhar gaya khoon musalla bhi musalla na raha

haye abbas e almadar ka...

aaj kufe ke yateemo ka...


sahar ke waqt bhi chaaye hai andhere kaise

dekh kar suye baqayya ye kaha zainab ne

dekho amma meri dunya mein ujaala na raha

haye abbas e almadar ka...

aaj kufe ke yateemo ka...


khoon mein doob gaya hai jo ali ka chehra

ibne muljim ne sitam hai ye khuda par dhaaya

jis se zaahir tha khuda aaj wo chehra na raha

haye abbas e almadar ka...

aaj kufe ke yateemo ka...


manzar e shaam e ghariban ki alamat ban kar

ye sahar aayi hai zainab pe qayamat ban kar

sar pe chadar hai magar baap ka saaya na raha

haye abbas e almadar ka...

aaj kufe ke yateemo ka...


jab bhi amma ki judaai ne rulaya hum ko

haye baba ne diya aa ke dilaasa hum ko

aaj dene ke liye koi dilaasa na raha

haye abbas e almadar ka...

aaj kufe ke yateemo ka...


baap ke sar ko jo zaanu pe hassan ne rakha

dekh kar band nigahon ko tadap kar ye kaha

haye baba na rahe koi hamara na raha

haye abbas e almadar ka...

aaj kufe ke yateemo ka...


dil ye phat jayega zeeshan mera ro ro kar

shadman gham ye qayamat hai ali waalon par

kis tarha sabr kare sabr ka yaara na raha

haye abbas e almadar ka...

aaj kufe ke yateemo ka...