Kanz e Aza

Zuljanah

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Zeeshan Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

zuljanah ay zuljanah

mere baba ke zuljanah


kehti thi ye sakina zakhmi hai tu kyun itna

maqtal mein kya hua bata zuljanah

mere baba ke zuljanah...


itna bata de kyun ghabraya hai tu

kyun mere baba ko chod aaya hai tu

tere qadmon ki jab awaaz aayi

mai ye samjhi baba ko laaya hai tu

na ghazi hai na bhaiya haye baba ka laasha

maqtal se kaun laayega zuljanah

mere baba ke zuljanah...


tere qadmon mein ye gir kar kaha tha

na le jaa baba ko mere na le jaa

tanha baba ko jo jaane diya tha

teri wafa pe tha mujhko bharosa

tujhko ghazi ki qasam rakhle wafa ka bharam

tanha kyun lauta hai bata

mere baba ke zuljanah...


ruqsat baba ki na bhooli sakina

aakhri baar jo soyi sakina

aa kar ye khwaab mein dadi pukari

bhejo hussain ko bali sakina

tab se bichdi hoo dekho jaane na deti un ko

gar mujhse kehti na zahra zuljanah

mere baba ke zuljanah...


gham kitne toote ghareebul watan par

naize chale hai kya un ke badan par

sar to utha teri aankhon mein dekhun

kya kya sitam huwe shaahe zaman par

aansu rawan hai tere baba kahan hai mere

kyun hai khamosh ye bata zuljanah

mere baba ke zuljanah...


yeh zehra jaane ya allah jaane

mere baba thay jaane kab se pyase

aankhein tumhari mujhse keh rahi hai

maqtal se tum bhi ho pyase hi laute

mujhko yaqeen hai mere baba ne tum se pehle

pani kahan piya hoga zuljanah

mere baba ke zuljanah...


mujhko taapon ki jo aati hai sada

wehshat se phat'ta hai kaleja mera

charon taraf hai zaalimon ka pehra

tanha hai ran mein mere pyase baba

laasha pamaal na ho jaake bachale unko

mai bhi mar jaungi warna zuljanah

mere baba ke zuljanah...


loote na qaimon ko aa kar sitamgar

haye chin jaaye na phupiyon ki chadar

kis ko pukarungi itna bata de

zaalim jab khaychega kaano se gohar

kaun hai ab hamara koi nahi sahara

lut jayega mera kunba zuljanah

mere baba ke zuljanah...


kehti hai karbala darwaish o zeeshan

rota raha sar jhukaye zuljanah

kaise sakina ke baba ko laaye

chaane lagi hai ab shaam e ghariban

rakh ke qadmon mein sar ko gir gaya khaak par wo

sun kar sakina ka nauha zuljanah

mere baba ke zuljanah...