aabru e la-ilaha sajda-e-shabbir hai
tere dam se ya hussaina naara-e-takbeer hai
likh diya khoon se hussaina parchame islaam par
sar katana raahe haq mein deen ki tauqeer hai
aabru e la-ilaha...
laashaye akbar utha kar bole shahe karbala
khaakh-o-khoon mein sarware kounain ki tasveer hai
aabru e la-ilaha...
dekhiye ayoob aa kar sabr ki manzil zara
haaton pe shahe zaman ke laasha-e-baysheer hai
aabru e la-ilaha...
kis tarha dafnaye zainab laash ko teri hussain
haaton mein rassi bandhi hai sar khule hamsheer hai
aabru e la-ilaha...
is tarha irfan hota hai farize haq adaa
khoon mein doobi hui peshani-e-shabbir hai
aabru e la-ilaha...