Kanz e Aza

Karbala Tere Abbas

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Irfan. Lyrics in Roman Urdu.

karbala karbala

tere abbas ke parcham ko salami denge


jab talak chand sitaro mein chamak baaqi hai

jab talak arshe salamat pe chamak baaqi hai

jab talak phool ke daaman mein mehak baaqi hai

tere shabbir ke matam ki dhamak baaqi hai

karbala karbala

tere abbas ke parcham...


jab talak seene mein dil dil mein hai dhadkan baaqi

jab talak apni yazeedo se hai anban baaqi

noore haq banke chamkte huwe panwan baaqi

ta qayamat rahe shabbir ka gulshan baaqi

karbala karbala

tere abbas ke parcham...


kufr taadi ka ye sailaab rukega ek din

baarwa laal imamat ko uthega ek din

naam hinda ke ghar aane ka mitega ek din

zaalim mazloom ki chaukat pe jhukega ek din

karbala karbala

tere abbas ke parcham...


tere abbas ke parcham ki qasam khaate hai

tashnalab shaahe do aalam ki qasam khaate hai

ta qayamat jo hai is gham ki qasam khaate hai

tere shabbir ke matam ki qasam khaate hai

karbala karbala

tere abbas ke parcham...


karbala tere jiyalon ki qasam khaate hai

seeno mein toot'te bhaalo ki qasam khaate hai

binte zehra tere naalo ki qasam khaate hai

khoone asghar ke ujaalo ki qasam khaate hai

karbala karbala

tere abbas ke parcham...


tere sehra mein luta fathima zehra ka chaman

haye wo qasime nowshah ka pamaal badan

haye wo shimr ka khanjar wo aqi ki gardan

haye wo yaas ke mahol mein majboor behan

karbala karbala

tere abbas ke parcham...


teer se hogayi jab mashke sakina jhalni

jhuk ke ghazi ne kaha shahe najaf adrikni

seena e akbare mehru me wo naize ki ani

khuld se aagaye zehra-e-rasoole madani

karbala karbala

tere abbas ke parcham...


hasrato yaas ke aalam mein hazeena bibi

is tasavvur hi se phatne laga seena bibi

baad e abbas bhi kya tha tera jeena bibi

zakhmi kaano jale kurte mein sakina bibi

karbala karbala

tere abbas ke parcham...


bhool sakta nahi irfan qayamat ka samaa

baade abbas zainab pe gira tohe giran

nagahan uthne laga shaah ke qaimo se dhuwa

arshe aazam ko hilaati huwi zainab ki fughaan

karbala karbala

tere abbas ke parcham...