Karte hai maatam haram abbas ka
ho gaya marna sitam abbas ka
Ran se ye shabbir ko aayi sada
jald qabar leejiye shaahe huda
aap ke qadmo'n pa ho qaadim fida
ho gaye abbas ke shaane juda
Ghamzada zainab se ye sheh ne kaha
chord sidhaare hame bhaiya kaha'n
mashq chidi khoo'n me alam bhar gaya
ab na alamdar na lashkar raha
Gham me baraadar ke hai tooti kamar
chal base akber nahi aata nazar
kaampte haatho pa hai laashe pisar
gham se phata jaata hai sheh ka jigar
Sibte nabi tum pa ho laakho salaam
ho gaye ummat pa fida tashnakaam
arz ye mazhar ki hai tumse imaam
rouza dikha deejiye shaahe anaam