Karte the ro ro ke ye hazrat bayaa’n ,tod gaye meri kamar bhaijaa’n
Roti hai qaime me sakina waha’n, sote hai abbas zamee’n par yahaa’n
Mar gaya akber pidar , thaam lo meri kamar
Sadqe karo lash par, lut gaya bekas ka ghar
Quwwate baazu mera kya hogaya zeenate pehlu mera kya ho gaya
Aashaqe dikju mera kya hogaya kya hua afsos mera qadr daa’n
Humko sambhaalega koun laash uthayega koun
Bhai pukaarega koun, qabr banaayega koun
Kya hua saqqae sakina ko aah, kisne kiya mera bhara ghar tabaah
Kya hui abase baraadar ki chah, ab gayi to pyaar ki baaei’n kahaa’n
Koun qabar le meri , haaye meri Bekasi
Talq hui zindagi, chalti hai dil par churi
Todo na ghurbat me meri aas utho , dekho husain aaya hai abbas utho
Rota hai mazloom basad yaas utho, utho bas ab ghar me chalo bhaijaa’n
Aankho ka taara mera , ghar ka ujaala mera
Aashiqo shaida mera, chand ka tukda mera
Roohe ali jaane nabi alvida, aashiqo shaidaae aqi alvida
Laashae abbase ali alvida, aate hai ab hum bhi chalo bhaijaa’n