karthi thi bain ran mein ro ro ke haye zainab
ay bhai tera laasha kaise uthaye zainab
karthi thi bain ran mein…
abbas hai na akbar sab qatl ho chuke hai
koi nahi hai zinda kisko bulaye zainab
karthi thi bain ran mein…
kaise uthaye aakar tapti hui zameen se
saaye mein tera laasha kis tarha laaye zainab
karthi thi bain ran mein…
sunta nahi hai koi faryad bekason ki
kya kya sitam hue hai kisko bataye zainab
karthi thi bain ran mein…
baba ki muntazir hai dar par khadi sakina
sheh qatl ho chuke hai kaise bataye zainab
karthi thi bain ran mein…
abbas-e-bawafa ka laasha tadap raha tha
jab ran mein zaalimo ne cheeni ridaye zainab
karthi thi bain ran mein…
sar par rida nahi hai qaime bhi jal chuke hai
maidan mein ro rahi hai sar ko jhukaye zainab
karthi thi bain ran mein…
zainab ne yun tadap kar abbas ko sada di
thar-ra rahe thay laashe sunkar sadaye zainab
karthi thi bain ran mein…
abbas jald aao chaane lage andhere
dashte bala mein tanha ghabra na jaye zainab
karthi thi bain ran mein…
dil kyun na khoon roye jaati hai qaid hokar
aayi hai kis tarha se kya bhool jaye zainab
karthi thi bain ran mein…
nasir dua hai meri bibi qabool karle
gohar jo likh rah hai nauhe baraye zainab
karthi thi bain ran mein…