Kanz e Aza

Kehte the aale Aba Margaye Zainab ke laal

A noha for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Kehte The Aale Aaba Margaye Zainab Ke Laal

Haaye Yeh Kya Hogya Margaye Zainab K Laal

1.Teer O Sina Khake Haaye, Gir Padhe Aur Sar Kataaye

Laash Koi Jaake Laaye, Margaye Zainab Ke Laal


2. Mamu Par Qurba'n Huwe, Payas Se Bejaa'n Huwe

Zakhmo'n Se Haairan Huwe, Margaye Zainab Ke Laal


3.Leate Hai Woh Sar Kataye, Aur Lahoo Me Nahahe

Kya Huwa Yeh Haaye Haaye, Margaye Zainab Ke Laal.