barsa falak se khoon larazne lagi zameen
aandhi siyaah dashte bayaban mein chali
ye waqt bhi qayamat e kubra se kam nahi
jalti zameen pe aakhri sajde mein hai jabeen
baali pe maa hussain ki aur pusht pe layeen
kehti thi maa teher zara shimr teher jaa
do boond mere bacche ko pani to pila de
sun kar duhaai faatahe badr o hunain se
ye dasht goonjta hai mere shor o shain se
akbar ko qatl kar ke bhi baithe na chain se
kya dushmani hai tumko mere dil ke chain se
kya bugz tumko ho gaya mere hussain se
kehti thi maa...
subhe dahum se laashe uthaata raha yahan
roya hai is ghareeb ki ghurbat pe aasman
bacche shaheed ho gaye maare gaye jawan
haathon pe is ke qatl hua ek bezaban
ab is ke khoon ke pyase huwe khanjar o sina
kehti thi maa...
aaya jo qatlgaah mein ye zulm ka aseer
pursaane haal tha na koi aur na dastgeer
pathar kisi ne maare kisi ne sina o teer
naiza kisi ne maara chalaye kisi ne teer
ye zulm dekha rone laga khuld ka ameer
kehti thi maa...
gash khaake jo ghode pe jhuka mera dilafgaar
khoon behne laga aur sar e mazloom pe talwaar
sar thaam ke haathon se jo seena hua ek baar
barchi kisi layeen ke seene se hui waar
tar ho gaya lahoo se badan dil hua figaar
kehti thi maa...
teeron ki nazr chaand sa seena jo ho gaya
in zaalimon ne seene ko teeron se bhar diya
zeen se zameen pe aane laga jab pisar mera
aaya nahi zameen pe teeron pe ruk gaya
is zulm par bhi rehm na aaya tujhe zara
kehti thi maa...
ay sang dil khuda ka payambar ka khauf kar
kassaab bhi zabeehon ko zibha se teher kar
itna to pani dete hai ho jaaye halq tar
zakhmon se choor chooor hai pyasa mera pisar
khanjar chalega kis tarha pyase ke halq par
kehti thi maa...
zainab hai ek rayt ke teele pe nauhagar
manzar ye dekhti hai sambhale huwe jigar
aankhon mein ashk lab pe buka aur barehna sar
mar jayegi wo khwahare mazloom dekh kar
tan se juda na kijiyo is waqt sheh ka sar
kehti thi maa...
tadpze zameen pe khaak udaate huwe hyder
aaye khadija aur payambar bhi nauhagar
saydaniyon mein bain dar e qaima pe dukhtar
nazdeek tha wo waqt ke kat jaaye sheh ka sar
zahra ne gala rakh diya bete ke galay par
kehti thi maa...
mazhar kahan se laaun mai wo taaqat e bayan
mai likh sakun shahadate mazloom ab yahan
hamraah mere rone lage ye saaton aasman
farhan nahi nahi ye kalaam bhi hai nauhakhwan
bete ko qatl hote huwe dekhti thi maa
kehti thi maa...