khidmat guzaraan e karbobala
kehte hai tum se ye shaah e huda
haq e mohabbat ada kar diya
tum mujhse raazi mai tum se raazi
dete hai tum ko dua murtaza
raazi hongi tum se fatema
ahsant khadim al hussain
tum hamari shaan ho
tum bhi mezbaan ho
raazi hongi tum se fatema
ahsant khadim al hussain...
zairon ki khidmat par mamoor ho tum
is azeem nemat se mashoor ho tum
karbala ki ye fiza keh rahi hai marhaba
ghazi de rahe hai hausla
ahsant khadim al hussain...
jo najaf se jaate hai paidal haram ko
tum sahara dete ho har ahle gham ko
jaa baja sabeel hai ishq ki daleel hai
ehtemaam aab aur ghiza
ahsant khadim al hussain...
har qadam moakib jo tum ne banaye
jo safar se thak jaaye aaram paaye
ho koi mareez e gham ya zaeef e mohtaram
sab ko baant'te ho tum dawa
ahsant khadim al hussain...
nabeena zaair ki beenayi tum ho
maazoor zaair ki besaakhi tum ho
is qadar hujoom mein de rahe ho rahatein
kyun na zaairon ki ho sada
ahsant khadim al hussain...
halabikom
sada dete hai shabbir
bana doonga mai taqdeer
chale aao ay zawwar
mere gham ke talabgaar
masayib se na ghabrao
dar e ghazi pe aa jao
qadam qadam kare ata
badhaate jaaye hausla
dikha rahe hai raasta
tumhare ishq pe fida
ata kare tumhe sila
zaairon ki naalain bhi jodte ho
kab tum is fareeze se moo modte ho
khoob naukri hai ye qalb ki khushi hai ye
hai nijaat ka ye raasta
ahsant khadim al hussain...
ki hai shaah rahon pe khidmat guzari
mausamon ki shiddat mein bhi pursadari
din ho raat ho ya shaam apne kaam se hai kaam
boli haar maan kar hawa
ahsant khadim al hussain...
bachon mein bhi aayi aadat tumhari
naslon ko ye baat tum ne sikha di
matam o buka karo tum bhi marsiya padho
tumse bhi kahengi sayyeda
ahsant khadim al hussain...
khadimeen e karbal ki jo naukri hai
mazhar ki mesum ki khwahish yehi hai
khadimon mein naam ho aisa intezam ho
hum se bole shaah e karbala
ahsant khadim al hussain...