Kanz e Aza

Laashe Akbar

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

laashe akbar ko liye soch rahe hai sarwar

qatle akbar ki khabar kaise sunegi maadar


laash ka chehra abaa se hai chupaya sheh ne

ek qadam dasht mein phir aage badhaya sheh ne

thodi hi door chale baith gaye reti par

laashe akbar ko liye...


ya ali keh ke uthe thaam ke dil haathon se

jaane kya soch ke phir ashk gire aankhon se

kuch dikhayi na diya sambhle hai kha kar thokar

laashe akbar ko liye...


bekasi karne lagi maut se ban mein girya

kitna saabir hai jawan laash uthane waala

ye payambar bhi nahi aur na lagta hai bashar

laashe akbar ko liye...


dil pe qaabu bhi nahi aankhon mein beenayi nahi

charkh ne aaj talak dekhi ye tanhaai nahi

hasrat o yaas hai aur koi nahi hai yawar

laashe akbar ko liye...


chalne deti hi nahi shaah ko ek baat yehi

jis ne athara baras paala wo mar jayegi

kya teri qabr isi ban mein banadun akbar

laashe akbar ko liye...


ro ke phir kehne lage tu hi bata jaane padar

tere jeene ki dua maang rahi thi maadar

saamne maa ke teri laash rakhunga kyun kar

laashe akbar ko liye...


dil tadapta hai mera bain likhun kya mazhar

kaifiat dil ki bayan kar na sakega safdar

hai qayamat ki ghadi haye ajab hai manzar

laashe akbar ko liye...