Kanz e Aza

Laashe Akbar Utha Rahe

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Hilal Rizvi. Lyrics in Roman Urdu.

laashe akbar utha rahe hai hussain

ya ali kehte jaa rahe hai hussain


mere beta zara galay se lago

kuch to baba se uth ke baat karo

dekho kab se bula rahe hai hussain

laashe akbar utha rahe...


badi hasrat se jaanib e darya

apne bhai ka dekh kar laasha

sirf aansu baha rahe hai hussain

laashe akbar utha rahe...


aankh bhi kholte nahi akbar

kuch bhi ab bolte nahi akbar

bas galay se laga rahe hai hussain

laashe akbar utha rahe...


maut ki neend so gaya beta

hai khabar ab kabhi na uthega

haye phir bhi jaga rahe hai hussain

laashe akbar utha rahe...


bani hashim ke bachon aa jao

naujawan ka janaza uthwao

bekasi may bu?a rahe hai hussain

laashe akbar utha rahe...


khaake maqtal se dasht e ghurbat may

laashe kadiyal jawan ki surat may

apni mayyat utha rahe hai hussain

laashe akbar utha rahe...


sehra baandha hai maut ne aa ke

khoon ki mehndi hai haath may jis ke

aise dulhe ko laa rahe hai hussain

laashe akbar utha rahe...


baap ko bete dete hai kaandha

laasha lekin jawan bete ka

apne kaandho pe laa rahe hai hussain

laashe akbar utha rahe...


mesum ab kya bayan ho ranj o malaal

naame abbas le ke mir hilal

zor e baazu dikha rahe hai hussain

laashe akbar utha rahe...