lahoo se hai rangeen kurta baba
baba ye dekho mere zakhm baba
yateemi ki aisi mili hai khabar
tamache lage mere ruqsaar par
hai chehra sakina ka neela
baba ye dekho mere...
angoothi lagi shimr ki jis ghadi
shikasta huwe mere dandaan bhi
lahoo se baha khoon mera
baba ye dekho mere...
lahoo may jo doobi hui hoo bahot
mai kaanto pa paidal chali hoo bahot
laga har qadam taaziyana
baba ye dekho mere...
musibat may dadi ki jaisi hui
meri phasliyan bhi hai tooti hui
chadhaya gaya mujhpa naaqa
baba ye dekho mere...
hai yun taaziyano se zakhmi badan
mujhe bhi milega na ghusl o kafan
juda ho sakega na kurta
baba ye dekho mere...
chadhe jaise sooli pe mujrim koi
rasan se galay ki wo haalat hui
hai dushwaar saanson ka lena
baba ye dekho mere...
bada haath uska tha rukh se mere
tamache lagaye hai yun shimr ne
hai badla mere nanha chehra
baba ye dekho mere...
tamachon se behosh jab bhi hui
sare khaak jab moo ke bal mai giri
tamachon se aa kar uthaaya
baba ye dekho mere...
hilal aur ifran ghurbat badi
sakina ye kehte huwe mar gayi
bahot hai judaai ka sadma
baba ye dekho mere...