Kanz e Aza

Meri Kahani Suno

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Mir Takallum. Lyrics in Roman Urdu.

baba jaan baba jaan

meri kahani suno

baba tumhari sakina hoon mai


baba qasam khaa ke kehti rahi

karta nahi tha yaqeen ye koi

ab tum hi de do gawahi meri

in shamiyon se kaho

baba tumhari sakina hoon mai

meri kahani suno...


ashoor tak ye zaeefi na thi

baalon mein mere safedi na thi

tum jab gaye thay mai aisi na thi

lehje se pehchaan lo

baba tumhari sakina hoon mai

meri kahani suno...


kehta tha zaalim satao isay

durre tamache lagao isay

naiza dikha kar darao isay

maloom tha shimr ko

baba tumhari sakina hoon mai

meri kahani suno...


baaghi ki beti samajh kar mujhe

bacchon ne maare hai pathar mujhe

rehna nahi ab yahan par mujhe

bas karbala le chalo

baba tumhari sakina hoon mai

meri kahani suno...


zid ki thi bachpan mein jab aap ne

aaye thay malboos firdaus se

aaj apni maadar se mere liye

mera kafan maang lo

baba tumhari sakina hoon mai

meri kahani suno...


zindan ka naksha badal jayega

kuch dayr mein dam nikal jayega

dil jaate jaate behal jayega

sughra ki baatein karo

baba tumhari sakina hoon mai

meri kahani suno...


mujhko tamacha hi aisa laga

nazron mein meri andhera hua

meri kamar mein bhi kham aagaya

daagh e rasan dekh lo

baba tumhari sakina hoon mai

meri kahani suno...


sar apne baba ke sar par rakhe

boli takallum wo rote huwe

sab maarne par tulay hai mujhe

tum keh do jeeti raho

baba tumhari sakina hoon mai

meri kahani suno...