aakhri raat sakina ka jab ye aalam tha
qaid khane mein tadapti rahi bekas tanha
sar e shabbir ko aghosh mein le kar apni
zakhmi honton pe yateema ke yehi nauha tha
baba pehchano mujhe baba
mai teri sakina hoo
tere gham ne mujhe kar diya hai baba zaeefa
meri poshak lahoo se hai bhari ay baba
bad gayi aur meri tashna labi ay baba
khud batayenge mere paon ke chaale tum ko
aaj bhi dhoop mein rehti hoo khadi ay baba
jis din se utha aap ka sar se mere saaya
baba baba pehchano mujhe baba
baba baba mai teri sakina hoo...
aap ke baad ajab haal hua hai mera
ye badan phool sa zakhmon se bhara hai mera
pehla pursa hi tamachon ka mil hai mujhko
shaam waalon ne khayal aise rakha hai mera
pathar kabhi shole kabhi naiza kabhi durra
baba baba pehchano mujhe baba
baba baba mai teri sakina hoo...
aap ka karz sakina ne utaara baba
zaalimon ne mujhe har mod pe maara baba
kaise samjhaun samajh lo ye ishara baba
le ke dewaar ka chalti hoo sahara baba
baba mujhe aankhon se nazar hi nahi aata
baba baba pehchano mujhe baba
baba baba mai teri sakina hoo...
khaak se apni yateema ko utha lo jaldi
shimr aajayega godhi mein chupa lo jaldi
aap to chaahne waalon ko bula lete ho
door hoo kab se mujhe paas bula lo jaldi
bin aap ke achi nahi lagti mujhe dunya
baba baba pehchano mujhe baba
baba baba mai teri sakina hoo...
ek nazar ghaur se ghazi ki bhatiji dekho
gir ke naaqe se kamar jhuk gayi meri dekho
aankhein kholo zara bacchi ki zaeefi dekho
mere baalon mein utar aayi safedi dekho
lagta hai zaeefa hoo mai amma se zyada
baba baba pehchano mujhe baba
baba baba mai teri sakina hoo...
meri amma ne madine mein sunaya tha mujhe
haal hazrat ki mohabbat ka bataya tha mujhe
aakhri hai ye guzarish meri tum se baba
jaise dunya mein duaon se bulaya tha mujhe
waise hi dua do ke mai ab chod doo dunya
baba baba pehchano mujhe baba
baba baba mai teri sakina hoo...
qaid khane mein takallum hai abhi tak dukhiya
aaj tak baap pe karti hai musalsal girya
haye taqdeer rehaayi nahi paayi usne
aaj tak bali sakina ka rasan mein hai gala
wo qabr mein padhti hai yehi aaj bhi nauha
baba baba pehchano mujhe baba
baba baba mai teri sakina hoo...