salam ho aap par ay adam ke waaris
salam ho aap par ay nooh o ibrahim o musa o isa ke waaris
salam ho aap par ay mohamed o ali o zahra ke waaris
salam ay ghareeb e zahra salam
mere hussain teri pyaas ko salam mera
ke teri pyaas se sairaab hai ye deen e khuda
gawahi deta hai kaaba azaan aur sajda
hussain waaris e adam hai waaris e isa
kya nabi aur wali khud mohamed sa nabi
ter rauze pe tujhe karta hai salam
salam salam salam ay ghareeb e zahra...
hussain qaid nahi hai hussain sab ka hai
hussain aalam e insaniyat ka wirsa hai
ajab ameer hai jannat ko chod kar apni
hussain aaj bhi toote dilon mein rehta hai
kya nabi aur wali khud mohamed sa nabi
ter rauze pe tujhe karta hai salam
salam salam salam ay ghareeb e zahra...
hussain dard mein jeena sikha diya tu ne
hussain pyaas ko pani bana diya tu ne
ghareeb bhi jahan jaa kar ameer lagta hai
hussain shehr hi aisa basa diya tu ne
kya nabi aur wali khud mohamed sa nabi
ter rauze pe tujhe karta hai salam
salam salam salam ay ghareeb e zahra...
ajeeb shaan se waada nibhaya nana ka
khuda ki raah mein tu ne luta diya kunba
jawan bete ke laashe pe shukr ka sajda
koi rasool bhi hota hawaas kho deta
kya nabi aur wali khud mohamed sa nabi
ter rauze pe tujhe karta hai salam
salam salam salam ay ghareeb e zahra...
mere ghareeb hussain mere shaheed hussain
assalamu alaika ya qateel al abaraat
ba waqt e asr gire shaah jalti reti par
kahin se lagta tha naiza kahin se teer o tabar
khuda kisi ko qayamat na ye dikhaye kabhi
behan ke saamne bhai pe chal gaya khanjar
assalamu alaika ya qateel al abaraat
salam salam salam ay ghareeb e zahra..
dhala jo asr ka suraj ajeeb shaam hui
padar ke laasha e besar pe aayi ek bacchi
hata ke laash se patthar kaha ye rote huwe
utho utho mere baba ujad gayi beti
salam salam salam ay ghareeb e zahra...
usi nasheb se naize pe aa rahe hai hussain
sina ki nok pe quran suna rahe hai hussain
ye baat sach hai takallum khuda ki marzi se
khuda ki saari khudayi chala rahe hai hussain
kya nabi aur wali khud mohamed sa nabi
ter rauze pe tujhe karta hai salam
salam salam salam ay ghareeb e zahra...
assalam alaika ya abaab dillah ya qateel al abaraat