sheh kehte thay ye haath hatao akbar
barchi kahan khaayi hai dikhao ali akbar
afsos hamein laash tumhari hai uthaani
hum to ye jo chaaha tha mere yusuf e saani
maa baap ka tum laasha uthao ali akbar
sheh kehte thay...
ye zakhm nahi pehlu e maadar se to bad kar
ghabrao na hum sabr karenge mere dilbar
baba se na seene ko chupao ali akbar
sheh kehte thay...
baazu se pakad kar hamein ghurbat yahan laayi
hum ne jo uthaani thi aziyat wo uthaayi
sharminda na ho nazrein milao ali akbar
sheh kehte thay...
jeene nahi degi tumhe zaalim ki ye barchi
maqtal mein tumhare zara bemaar behan ki
kuch dayr to baatein kare aao ali akbar
sheh kehte thay...
jo dil mein thay zainab ke wo armaan badhaloon
is khoon bhare chehre pe mai sehra to sajaloon
tehro abhi dunya se na jao ali akbar
sheh kehte thay...
maine to sada di thi wo uth'ta nahi gulfaam
nazdeek hai ay laal mere asr ka hangaam
ghazi ko azan de kar bulaao ali akbar
sheh kehte thay...
tum hichkiyan lete ho nikalta hai mera dam
baazu bhi shikasta huwe kaise karun matam
mai kya karun ghurbat mein batao ali akbar
sheh kehte thay...
sheh bolay takallum ye qayamat ki ghadi thi
dekha nahi jaata meri maa kab se khadi hai
lene wo tumhe aayi hai jao ali akbar
sheh kehte thay...