ya abbas ya abbas
ay sher e nayastane hyder abbas
meri bigdi bana dena meri baat bana dena
ya abbas ya abbas ya abal fazlil abbas
ahle aza ka tum ho bharosa toote dilon ki aas
ya abbas ya abbas ya abal fazlil abbas
jo maanga hai tum se maanga tum hi dete ho ghazi
dunya samjhe ya na samjhe tum to samajhte ho ghazi
koi nahi hai mujhko yaqeen hai tum jaisa hassaas
ya abbas ya abbas...
bhai ke chehre se pareshani ko tu ne door kiya
ahle mawaddat ko mushkil ke hal ka ye dastoor diya
kashif karbi ekshif karbi ek wazeefa khaas
ya sayyedi ya abbas ya abal fazlil abbas
ya sayyedi ya abbas ya abal fazlil abbas
be-saharon ke liye tu hai sahara abbas
tu hai mazloomon ekqismat ka sitaara abbas
saare dunya mein jab bhi koi zulm hua
tujhko masooma ne ro ro ke pukara abbas
ya abbas ya abbas...
hoti hai jab chashme inayat dil ki kali phir khilti hai
rozi roti izzat azmat aap ke dar se milti hai
saani e hyder likhdo muqaddar leke qalam khirtaas
ya abbas ya abbas...
lashkare aada ki zad par phir shehzadi ka rauza hai
jaan se jo pyari hai tumhe phir se wo sakina tanha hai
mehdi e deen ko izn ataa ho mazloomon ki aas
ya sayyedi ya abbas ya abal fazlil abbas
ya sayyedi ya abbas ya abal fazlil abbas
gham gusaron ko aziyat se bachane waale
be-khata saare aseeron ko chudane waale
har azadare hussain ibne ali par ho karam
ay kate haathon se taqdeer banane waale
ya abbas ya abbas...
majlis matam karne waale apni muradein laaye hai
haathon ko phailaye huwe yun dar pe tumhare aaye hai
jisko khuda se maanga ali ne tum ho wo almaas
ya abbas ya abbas...
rehte hai masoom jahan par hum bhi wahan par jayenge
kab se hai pardes mein maula laut ke kab ghar jayenge
sher e dilawar saaqi e kausar dil ki bujha do pyaas
ya sayyedi ya abbas ya abal fazlil abbas
ya sayyedi ya abbas ya abal fazlil abbas
faqr se dekhte hai shaahe madina ghazi
aap dono ki mohabbat ka kareena ghazi
tere parcham se bandhi mashk ko dekha to laga
tujhse lipti hai teri pyasi sakina ghazi
ya abbas ya abbas...
pyase bacche tum se hi umeed lagaye baithe thay
maula ko jab aate dekha thaame alam ke kuch tukde
tishna labon ki masoomon ki toot gayi thi aas
ya abbas ya abbas...
gyara moharram ko maqtal se binte ali jab guzri thi
baazu bureeda dekh ke tere aahein bhar ke kehti thi
uth gaya bhaiya baap ka saaya aaj hua ehsaas
ya abbas ya abbas...
aap ka parcham nasb hua hai jis jis bhi ghar par ghazi
mir takallum ki hai dua aabaad rahe wo ghar ghazi
apne alam ka saaya rakhna hyder ke akkaas
ya abbas ya abbas...