Kanz e Aza

Ya aqee abbas ya aqee abbas

A noha for Hazrat Abbas (a.s), recited by Anjumane Al Abbas(Hyd Ind). Lyrics in Roman Urdu.

bhai tera hota hai khurban -2

ya aqee abbas ya aqee abbas

1. tadapta khaak pe akber ko maine dekha hai

zameen-e- garm pe lashe ko maine dekha hai

sitam ka khaichna,seena se wo sina abbas


ya aqee abbas .


2. katega sar mera qaime jalaye jayenge

aseer sare jahan mein phiraye jayenge

bhara hai nigaho mein,ab toh bas dhuwa abbas


ya aqee abbas . . . . .


3. chala hoon sare masayeb uthake ab ran ko

kahan hain koi jo thame rakabo tausan ko

karunga akhri sajda bhi tanha abbas


ya aqee abbas


4. nahi hai koi ho seena sipak jo roke waar

giraye ada ne karbal mein ahani deewar

milega ghusl na mujhko kafan yaha abbas


ya aqee abbas .


5. tujhse tha chain sakina ko sukoon zainab ko

milsakegi na kabhi gham se ama zainab ko

qatl tum kya huwe dil hogaye veera abbas


ya aqee abbas . . . . .


6. khauf se tere to dushman ke ude the ausa

door bhage the tujhe dekh ke wo bad emaan

mashk bhar kar raha pyasa tu meri jaan abbas


ya aqee abbas . . . . . .


7. haath tere kate dam haton se mera nikla

mashk jab chidh gaye khoon ankhon se tere nikla

tere hanton ka hai islam per ahsan abbas


ya aqee abbas . . . . .


8. teer ka mashk pe aana tha ajal ka aana

wo tera suve zameen ghode se niche aana

haye kaise karoon uss karb ka baya abbas


ya aqee abbas . . . . .


9. sarwat yeh fizao mein toh zehra ki fugha hai

abbas mera laal mera laal kaha hai

suno yeh aakhri zehra ki hai fughah abbas


ya aqee abbas . . . .