zainab ali akber ke jine ki dua mango
bachjaye mera bacha tum iski dua mango
1. zainab yeh pisar meri ankhon ki basarat hain
reh jaye nazar meri tum iski dua mango
2. iss laal ki aye zainab sehre ki tamanna thi
mit jaye na yeh armaan tum iski dua mango
3. koniyon ke bal chal kar pounchey lash-e-akber par
laila kahi dekhna le fizza yeh duaa mango
4. shay ne kaha aye akber kaise main ijazat doo
pehle jake zainab se marne ki reza mango
5. daaman nahi chodti thi sakina ali akber ka
behna teri marjaye pehle yeh dua mango
6. rakhte the uthate the mayyat ali akber ki
khaimey tak pounch jaye bacho yeh dua mango
7. soghra kaha karti thi aksar aye watan walon
bhaiya mera lout aaye sab milke dua mango