Kanz e Aza

Zainab Pukari Ay

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Raza Ali Khan Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

zainab pukari ay mere akbar kahan ho tum

dushman mein ghir gaya hai baradar kahan ho tum


aada ka ek hujoom hai maidan mein har taraf

nikle to kaise qaime se baahar kahan ho tum

zainab pukari ay mere akbar...


khud ko gira ke jhoole se sookhi zaban liye

jalti zameen pa tadpa hai asghar kahan ho tum

zainab pukari ay mere akbar...


bachon ki cheekh sun ke dahelta hai kaleja

pur haul karbala ka hai manzar kahan ho tum

zainab pukari ay mere akbar...


be makhna o chadar hai andheron ki rida hai

shimr e layeen ne cheen li chadar kahan ho tum

zainab pukari ay mere akbar...


jinn o malik mein chaar soo kohraam bapa hai

chalta hai shaah e wala pe khanjar kahan ho tum

zainab pukari ay mere akbar...


kaise hai ummati mere nana rasool ke

haste hai mujhko maar ke pathar kahan ho tum

zainab pukari ay mere akbar...


oonton pa be kajawa bithaate hai ashkiyan

kar ke aseer hum ko sitamgar kahan ho tum

zainab pukari ay mere akbar...


bhaiya pinha gaye thay jo dukhtar ko pyaar se

chinte hai sakina ke wo gauhar kahan ho tum

zainab pukari ay mere akbar...


sun lo khuda ke waaste faryaad phupi ki

awaaz de rahi hoo barabar kahan ho tum

zainab pukari ay mere akbar...


ghazi bhi jaa ke so gaya nehre furaat par

baaki bacha na koi bhi rehbar kahan ho tum

zainab pukari ay mere akbar...


hoti hai har ek simt se bas khoon ki baarish

karbobala ka surkh hai manzar kahan ho tum

zainab pukari ay mere akbar...


naizon se jhidkiyon se tamachon se har ghadi

hum ko sata rahe hai sitamgar kahan ho tum

zainab pukari ay mere akbar...


zainab ke bain sun ke raza ashk rawan hai

dil ro raha hai nauha ye likh kar kahan ho tum

zainab pukari ay mere akbar...