zainab tadap ke roti thi aayi jo ye khabar
abbas qatl ho gaye nehre furaat par
sarwar ko apne gham mein rula kar chale gaye
ahle haram ko dasht mein be-aas chod kar
zainab tadap ke roti thi...
laila ki hasraton ko bhi pamaal kar diya
barchi ka phal wo seena e akbar ko chedh kar
zainab tadap ke roti thi...
chehre ka rang zainab e muztar ka udh gaya
aayi na ran se beton ki jis dum koi khabar
zainab tadap ke roti thi...
suraj hua ghuroob qayamat guzar gayi
lutne laga hussain ka asbaab maal o zar
zainab tadap ke roti thi...
bechain ho ke haaton mein kooza liye
asghar ko dhoondti thi sakina idhar udhar
zainab tadap ke roti thi...
baithi hai haul naak andheron ke darmiyan
maqtal ki sar zameen pa zanab jhukaye sar
zainab tadap ke roti thi...
qaimon ki aag jism ko jhulsa rahi thi aur
aada ki zulm rooh ko karte thay nauhagar
zainab tadap ke roti thi...
haaton mein rassiyan thi to pairon mein bediyan
zulm o sitam ke baad bhi jaari raha safar
zainab tadap ke roti thi...
ye umr aur bachon ka oonton pa baithna
maa'on ka dil tadap gaya manzar ye dekh kar
zainab tadap ke roti thi...
udte huwe parindo ko dekha to ro padi
shayad sakina bibi ko yaad aa gaya hai ghar
zainab tadap ke roti thi...
hooron mein shor tha to malayak thay ghamzada
saydaniyo ko shaam ke balwe mein dekh kar
zainab tadap ke roti thi...
darbar mein yazeed ke zainab hai berida
ab to madad ko aaiye ya sayyadul bashar
zainab tadap ke roti thi...
mitti jo qaid khane ki raas aagayi usay
ahle haram mein girya o matam tha raat bhar
zainab tadap ke roti thi...
karbobala pa ashk raza jo bahayenge
hai bas unhi ke waaste jannat ke baam o dar
zainab tadap ke roti thi...