Amma Lahu me doob ke Akbar guzar gaya
Laila ka dil Hussain ka Noore Nazar gaya
Atthara saal pala tha Jisko wo Margaya
Barchhi ka phal laga Mere Akbar ke Qalb par
Amma Tumhara lutgaya jangal me sara Ghar
Qismat ne haay Kubra ko Bewa bana diya
Amma Lahu Lahu huwa Noushaahe Karbala
Bhai jo Laash par gaye dekha ye maajra
Bikhre huwe the Laash ke tukde idhar udhar
Amma Tumhara lutgaya jangal me sara Ghar
Shaane katake nahr pa Jarraar Sogaya
Dhaaras Haram ki Bhai ka Dildar Sogaya
Lashkar huwa tamaam Alamdar Sogaya
Pohnche the Shaah Laash pa Thaame huwe kamar
Amma Tumhara lutgaya jangal me sara Ghar
Tapti zameen par gira jab Shaahe Dee'n panah
Manzar wo dekhna pada zakhmi huwi Nigah
Khanjar se kat rahi thi Muhammad ki Bosagaah
Noke sina pa dekha hai Bhai ka Maine Sar
Amma Tumhara lutgaya jangal me sara Ghar
Amma na poochho baad me kya kya huwe sitam
Oonto'n ki nangi pusht pa the Sar barehna Ham
Bebas the rassiyo'n me bandhe sab Aseere Gham
Dil phat gaya padi juhi'n Sajjad par Nazar
Amma Tumhara lutgaya jangal me sara Ghar
Mehshar ka samna Hame harek gaam tha
Lakho'n tamaashbeen the ek ishdehaam tha
Amma Main Sar barehna thi bazare shaam tha
AmmaHamari sharm se uth'ti na thi Nazar
Amma Tumhara lutgaya jangal me sara Ghar
Darbare shaam me to qayamat hi aagayi
Thi mehfile yazid me Main nange Sar Khadi
Larza tha saare Jism me Lab par tha Ya Ali
Rakha huwa tha tasht me Bhai ka Mere Sar
Amma Tumhara lutgaya jangal me sara Ghar
Wo hont jispa Zikre Elaahi tha sub'ho shaam
Wo hont jisko Choomte the Sarware Anaam
Wo hont teen roz rahe the jo tashnakaam
Maari chhadi yazeed ne un pyaase honto par
Amma Tumhara lutgaya jangal me sara Ghar
Ankho'n me Meri rahgaya wo karb ka sama
Taareek qaidkhaane me Bachchi ki hichkiya'n
Ghut ghutke haay Margayi Amma Sakina Jaa'n
Behre kafan tha Jism pa Kurta Lahu me tar
Amma Tumhara lutgaya jangal me sara Ghar
Amma jo Mera Dard hai kaise Karu'n baya'n
Amma hain Baazuo'n pa Mere zulm ke nasha'n
Amma Tumhari Beti ke dukhte hain Ustokhwaa'n
Ahsan Lahad larazti thi Zainab ke Bain par
Amma Tumhara lutgaya jangal me sara Ghar