Kanz e Aza

Aa Gaya Madina

A noha for Wapasi-e-Ahle Haram, written by Nayyar Jalalpuri. Lyrics in Roman Urdu.

aa gaya madina


lutke aa gaya watan fatema ka kunba

aa gaya madina aa gaya madina


kaisi ye udasiyan fizaon par hai taari

aa rahe hai qudsiya alam siyaah amaari

kaisa dardnaak hai musafiron ka kissa

aa gaya madina...


bibiyon ko phir wohi bahaar yaad aayi

jo ujad chuki wo yaadgaar yaad aayi

door se nazar jo aaya mustafa ka rauza

aa gaya madina...


fatema ki betiyon kaleje ko sambhalo

baazuon pe neel ke nishan sab chipalo

tez hai hawa rida gire na sar se fizza

aa gaya madina...


ek do nahi tamaam ghar ki hai sunani

karbala ne cheen li madine ki nishani

rote hai haram basheer pad raha hai nauha

aa gaya madina...


is qadar khamosh kyon ho ay rabab bolo

apni laadli ko dogi kya jawaab bolo

hai kahan mera sagheer poochegi jo sughra

aa gaya madina...


kis tarha wo gham ka maajra kahenge abid

sochiye chacha se apne kya kahenge abid

wo jo poochle gale mein zakhm hai ye kaisa

aa gaya madina...


ay basheer alqama pe kya hua batao

maa sawaal kar rahi hai waqiya sunao

qaime jab jale to mera laadla kahan tha

aa gaya madina...


aa rahe hai poochne ko haal ahle yasrab

wo musibatein bayan karogi kaise zainab

jin musibaton ne tum ko kar diya zaeefa

aa gaya madina...


kis tarha sitamgaron ne cheeni thi ridayein

betiyan safar ka haal maa ko kya sunayein

ek hashr jannatul baqi mein hai barpa

aa gaya madina...


le chala naseeb jab bhi rauza e nabi par

soch kar tadap uthe ye aamir aur nayyar

ye jagah wo hai jahan hussain phir na aaya

aa gaya madina...