Kanz e Aza

Aao Alamdar

A noha for Darbaar e Shaam, written by Nayyar Jalalpuri. Lyrics in Roman Urdu.

binte ali ke liye hashr ka hai saamna

nargha e aada mein hai aale nabi berida

aagaya bazaar aao alamdaar


naaqon pe mehmil nahi sar pe bhi chadar nahi

kaun dilaye rida koi baradar nahi

shaane kataye huwe shere jari so gaya

aagaya bazaar aao alamdar...


haye kahan aagayi fatema ki betiyan

aayi na bandi kahan aur kahan saydaniya

khatm bhala hoga kab zulm ka ye silsila

aagaya bazaar aao alamdar...


shor qayamat ka hai shaam ke bazaar mein

kafiron ki kursiyan sajti hai darbaar mein

sar ko uthaate nahi hazrate zainul abaa

aagaya bazaar aao alamdar...


fikr hai bemaar ko kaise bataunga mai

dil pe guzarti hai jo kaise sunaunga mai

chaahne waala koi aise mein gar mil gaya

aagaya bazaar aao alamdar...


aale payambar hai wo qaid jo rassi mein hai

waaris e kausar hai wo qaid jo rassi mein hai

aur sakina hai wo kasta hai jis ka gala

aagaya bazaar aao alamdar...


bibiyan jo qaid hai waaris e tatheer hai

dukhtare khairul wara khwahare shabbir hai

bain sune to koi roti hai khud fatema

aagaya bazaar aao alamdar...


aankhon mein laila ki hai khoon bhari akbar ki laash

dasht mein chod aayi hai bano bhi asghar ki laash

laadlon ki suratein dhoondhti hai maamta

aagaya bazaar aao alamdar...


naizon pe akbar bhi hai asghar e baysheer bhi

aun o mohamed bhi hai qasim e dilgeer bhi

wo sar e abbas hai naize se jo gir pada

aagaya bazaar aao alamdar...


zabt kahan tak kare binte ali ka jigar

kab se ye saydaniya hai dare saa'aat par

uth ke najaf se zara dekhlo mushkil kusha

aagaya bazaar aao alamdar...


nayyar o aamir ye dil gham wo bhulata nahi

saahib e ghairat wahan sar ko uthaata nahi

aaj bhi hum shaam mein pahunche to nauha padha

aagaya bazaar aao alamdar...