Kanz e Aza

Abhi Tak Shaam ke

A noha for Darbaar e Shaam, written by Qamar Hasnain. Lyrics in Roman Urdu.

janaza jiska chupaye thay shab ki tareeki

damishq mein ye usi fatema ki hai beti

na kal to shaam mein parda bacha saka tha koi

dukhi hussain ki maa keh rahi hai ya mehdi

dua ko haath uthaye hai maadar e zainab

bachaye rauze ko rauza hai chadar e zainab


saron ko dhaamp kar aao tumhe zainab bulaati hai

abhi tak shaam ke bazaar se awaaz aati hai


batate hai ye raste jo abhi tak khoon mein doobe hai

yahan se sayyade sajjad zanjeeron mein guzre hai

tamachon se sakina ko kabhi zainab bachati hai

abhi tak shaam ke...


kahin durron ki baarish hai kahin hai maarte pathar

zameen kyun phat nahi jaati tamashe ko khule hai ghar

kabhi baalon se zainab apne chehre ko chupati hai

abhi tak shaam ke...


na khud hai zainab e nachar bhi us ek rassi mein

bandhe hai abid e bemaar bhi is ek rassi mein

sakina kis tarha panjo ke bal par chal ke jaati hai

abhi tak shaam ke...


bahot rote hai abid dekh kar ye haalat e zainab

ke aisa imtehan nabiyon se bhi leta nahi ya rab

imamat sar jhuka kar khoon ke aansu bahati hai

abhi tak shaam ke...


khudaya hai yehi mushkil kusha e waqt ki poti

ye saara shaam kehta hai sakina chup nahi hoti

lahoo kaano se behta hai tamache moo pe khaati hai

abhi tak shaam ke...


khuda aur mustufa ke deen ka paband hai koi

na majme mein hazaron ke bhi ghairatmand hai koi

musalmano ki ghairat par bahot aansu bahati hai

abhi tak shaam ke...


sharabi badnasab darbar mein kitne layeen dekhe

khadi zainab thi jis ne saat sau kursi nasheen dekhe

madad ko saatwein dar par ali ko ye bulaati hai

abhi tak shaam ke...


hai jaari shaam o kufa mein jafa ka silsila ab tak

ke bhai bekafan aur behan hai berida ab tak

nikal kar qaid khane se sakina yaad aati hai

abhi tak shaam ke...


yehi zehra ki khwahish hai ziyarat shaam ki karna

wahan rauze pe jaa kar bhai ka pursa usay dena

aza ka farsh rauze par yehi bibi bichati hai

abhi tak shaam ke...


safar hota nahi hai khatm ab bhi karb e zainab ka

hamari maayein behne kyun qamar hai aaj beprada

musiat ye imame asr ki gardan jhukaati hai

abhi tak shaam ke...