ek roz maa se poocha tha ye shadman ne
guzre isi aza mein hai sadiyon ke rath jage
jee khol kar hussain ko hum ro nahi sake
bachpan ka wo sawaal mujhe abhi yaad hai
daaman ko aansuon se bhigote hai kis tarah
ay maa bata hussain ko rote hai kis tarha
tune aza ke farsh pe mujhko bitha diya
pani jo maanga maine to pani pila diya
aagosh mein aza ka saleekha bata diya
godi mein tune loriyan dekar sula diya
zindan ki zameen pe sote hai kis tarha
ay maa bata hussain ko...
bachpan se humko tune hi zouqe aza diya
taboot ko saja diya farshe aza bicha
aankhon ko apni parcham e ghazi se mas kiya
aagosh mein utha ke dikhadi hai karbala
shaida aza e shaah ke hote hai kis tarha
ay maa bata hussain ko...
saaye mein baap ke hai guzarti meri hayaat
hoti hai poore khwahishe ta hadde mumkenaat
sunte to hai hum shaam ke zindan ke waqiyat
hum jaante nahi hai sakina ke mushkilaat
kehte jinhe yateem wo hote hai kis tarha
ay maa bata hussain ko...
haq pe lutayi saari kameini hussain ne
qurban haq pe kar diya bhai hussain ne
deene khuda ki jaan bachayi hussain ne
kadiyal jawan ki laash uthayi hussain ne
saare ghamon ko dil mein samote hai kis tarha
ay maa bata hussain ko...
maqtal mein kab tha fatema zehra ke dil ko chain
tha inteha-e-sabr pe zehra ka noore ain
laashe pe har shaheed ke roke rahe thay bain
asghar ki qabr khod ke rone lage hussain
ashkon se khoon ke aankh bhigote hai kis tarha
ay maa bata hussain ko...
kurta jala huwa hai ye bachi ka haal hai
kaano se khoon behta hai daaman sawaal hai
chehre ka saara rang tamachon se laal hai
khamosh aansuon se sakina nidhaal hai
noke mija pe ashq pirote hai kis tarha
ay maa bata hussain ko...
zikre ghame hussain mein izzat naseeb ho
haq baat sab se kehne ki jurrat naseeb ho
daaman ko apne ashq e nadamath naseeb ho
hurr ki tarha hame bhi shahadat naseeb ho
isyan ke daag aaj bhi dhote hai kis tarha
ay maa bata hussain ko...
ilm o amal mein peshe nazar ho raza e rab
rauza namaz har ke faraiz ada ho sab
haq e imam ada ho ada ho namaze shab
maa aakhri jihad ko taiyar karde ab
nasir imam-e-asr ke hote hai kis tarha
ay maa bata hussain ko...
aao qamar bataun ke rone ka haq hai kya
jaari tha jaise ashke sakina ka silsila
jaise imam-e-asr ki aankhein hai karbala
rote hai aise jis tarha roti hai fatema
maa ne kaha hussain ko rote hai is tarha