amal se haath hai khaali hisaab kya denge
imame asr ko aakhir jawab kya denge
ye hai ghulam e zamana wo nasiraan e wafa
yahan pe khwahish e dunya wahan hai ilm o ata
yahan pe raks o ghinahai wahan pe ashk e aza
yeh behayaii ki dal dal wh nusraton ki faza
hum apni nasl ko aakhir nisaab kya denge
imame asr ko aakhir...
na jaane kab se hai masroof gheebaton mein lab
namaz o roza o hajj se nahi koi matlab
zakat o khums ke hum ho gayi hai mujrim sab
bula rahe hai imam e zaman ko hum ya rab
amal ki rooh se khaali habaab kya denge
imame asr ko aakhir...
ghazab khuda wo kaisi khushi ki mehfil thi
ke maaon behno ki be-pardagi wahan dehki
abhi hadees e kisa thi wahan kisi ne padi
phir uske baad wahin par hai raks o mausiqi
ghina ki leh pe ye chang o rabab kya denge
imame asr ko aakhir...
bahot bada hai ye karb e imam e arsh e waqaar
ali ki betiyan balwe mein itrat e athaar
nazr se jaata nahi unke shaam ka bazaar
wo hai zahoor ko tayyar hum nahi tayyaar
shahadaton ke bina inquilaab kya denge
imame asr ko aakhir...
gharon mein honge jo ibleesiyat ke rang o nishan
na paida honge wahan naasiran e shaah e zaman
karenge majlisein be-pardagi bhi hogi yahan
aza ke farsh pe aayegi jab hussain ki maa
saboot e ishq e risalaat ma'ab kya denge
imame asr ko aakhir...
ab aur kitni jihalaat ki pairawi hogi
chamak nigaah mein aur dil mein teeragi hogi
iza fakaul mein kirdaar mein kami hogi
wo jin ki fikr mein deemak lagi hui hogi
hum unke haath mein deen ki kitaab kya denge
imame asr ko aakhir...
agar kahenge wo shamme wafa jalaani hai
jo zindagi ki kameini hai wo lutaani hai
agar kahenge wo ke akbar ki jaan bachani hai
jawan bete ki mayyat hamay uthani hai
jawan pisar ka qamar hum shabab kya denge
imame asr ko aakhir...