kehte hai nabi fatema zehra se tadap kar
ghar par malakul maut jo tayyar hai beti
ye tum se ijazat ta talabgaar hai beti
maloom hai beti ke satayegi ye dunya
jab mai na rahunga to rulayegi ye dunya
afsos tere ghar ko jalayegi ye dunya
paaunga na ek lamha sukoon qabr ke andar
kehte hai nabi...
ek roz lehed mein hai har ek shaks ko sona
sab ke liye ye khaak ka hota hai bichona
deha nahi jaata hai ye beti tera rona
jaana hai bulaata hai mujhe khaaliq e akbar
kehte hai nabi...
jitne ye munafiq hai bazaahir hai jo qadim
dukh denge bahot aur zara honge na naadim
darbar mein bulwayenge ek din tujhe zaalim
allah salamat rakhe beti teri chaadar
kehte hai nabi...
hum honge na tum hogi na hyder hi rahenge
us waqt ajab chaal munafiq ye chalenge
beti tere shabbir ka ye qatl karenge
be-gor o kafan dhoop mein hoga tera dilbar
kehte hai nabi...
zinda na bichad kar zara reh paogi beti
pehlu e shikasta liye tum aaogi beti
tum mujhse bahot jald hi mil jaogi beti
shabbir pe hum qabr mein royenge barabar
kehte hai nabi...
beti ye hai khaaliq ki nazar mein teri azmat
dekhi nahi aisi malakul maut ki haalat
ye tera sharaf hai jo ye maangi hai ijazat
de do isay aane ki ijazat meri dukhtar
kehte hai nabi...
kehte hai qamar deen ko allah bachaye
bas bakshish e ummat ki dua hont pe aaye
farzand mera amn o amaan deher mein laaye
ek roz zaroor aayega ghaibat se nikal kar
kehte hai nabi...