muslim e aqeel hoon safeer e hussain hoon
baatil ka khauf e haq se kaleja laraz utha
bas ek sada se haakim e kufa laraz utha
ehsaas e qalb e haq hoon zameer e hussain hoon
mai aashiq e ali hoon asseer e hussain hoon
zainab ka intekhab musheer e hussain hoon
pehchaan lo mujhko mai safeer e hussain hoon
mai safeer e hussain hoon
muslim e aqeel hoon mai jaan le jahan
ashjaul arab kahe zameen o aasman
hashmi wirasaton se azm hai jawan
hyderi shuja'atein lahoon mein hai rawan
mai waqt ka hisaar hoon
mai noor ki bahaar hoon
zameen ka ikhtetaar hoon
falak ka iftekhar hoon
mai ishq ka sheaar hoon
wafa ka aetbaar hoon
dua ka ikhteyar hoon
mai sheh ka jaan nisar hoon
mai safeer e hussain hoon...
aetmaad rakta hai ali ka noor e ain
ki mujhe imam ne siparaton ki zain
sar pe hai mere dua e shaah e mashraqain
mai akela zaat mai hoon lashkar e hussain
mai hausle ki jast hoon
wafa e haq parast hoon
maye wila se mast hoon
mai deen ka bandobast hoon
mai aetebaar e hast hoon
mai har hisaar e dast hoon
mai kufa e zameer mein
yazeed ki shikast hoon
mai safeer e hussain hoon...
ye ghulame shaahe deen haq batayega
sheh ka saath dega jo falaah payega
jang jo karega mujhse maat khayega
taygh se meri na koi bach ke jayega
mai daur e inqelaab hoon
mai taygh ka shabab hoon
mai nusraton ka khwab hoon
mai khoon ka hisaab hoon
mai ilm ki kitaab hoon
mai jehl par azaab hoon
hussain ki haseen sifaraton ka intekhab hoon
mai safeer e hussain hoon...
aa raha hoon choom kar qadam imam ka
haat mein baland hai alam imam ka
leke aa raha hoon mai bharam imam ka
kufiyon pata hai tum ko gham imam ka
zindagi hai tashna kaam
din ka kab hai ehteram
qatl o khoon hai aaj aam
mushkilon mein hai imam
chod kar wafa awaam
khwahishon ki hai ghulam
jo bhi hai mera kalaam
hai hussain ka payam
mai safeer e hussain hoon...
ghaibate imam mein ho aisa intezar
ilm par yaqeen ho amal pe aetebaar
nasiran e haq ka phir se hona hai shumaar
muntakhib safeer hoga kaun ab ki baar
agar ho saum aur salaat
hajj o khums aur zakat
amr aur nahi ki deen e haq mein saari mumkinaat
ho hussain hi hussain
bhool jaaye apni zaat
deen pe yun amal kare
to keh sake ye hum ye baat
mai safeer e hussain hoon...
muslim e ghareeb ne kiya hai jab kalaam
marte dam naseeb ho ziyarat e imam
karbala uthi kiya hawaon par qayam
dekh kar hussain ko kaha hai as-salam
as salamo alaika ya aba abdillah
as salamo alaika yabna rasoolillah
choor choor jism hai jigar hai paash paash
hai kahan pisar mere kahan karun talaash
qatl kar ke le chale hai mujhko bad-khamash
maut ke bhi baad hai safar mein meri laash
mai safeer e hussain hoon...
nazim aur razi ki tarz sab se hai juda
jaffar aur baksh bhai aur ali zia
javedan hai lehja ab bhi sachey bhai ka
hum hai tifle maktab aur ye asaateza
ye hai aza ka kaarwan
ye hai lehen ki kehkeshan
ye lehja o khayal mein ghame hussain ki azan
ye karbala ki dastaan
yeh zikr sheh ka sayeban
azeem hai jo nauhakhwan unhi ka hoon mai tarjuma
mai safeer e hussain hoon...
rizwan farhan sab hai nauha gar
nasir o shujah aur ali safdar
shadman shahid o nadeem sarwar
sab ke sab ki ek hi sada hai ye qamar
mai hoon aza ke paksh par
mai hoon dilon ke arsh par
mai majlison mein nauha gar
majlis aur juloos mein hoon jalwa gar
gali gali nagar nagar
mai aansuon ka hamsafar
mai poori kayenat mein hussain ka payaam bar
mai safeer e hussain hoon...