kufe may phiraya jaata hai
muslim ka laasha eid ke din
koi bhi uthane aata nahi
bekas ka janaza eid ke din
bhai bhi nahi bete bhi nahi
koi bhi nahi rone waala
muslim ke janaze par baithi
roti rahi zahra eid ke din
kufe may phiraya...
ek aah sunayi deti hai
ek laash dikhayi deti hai
be-saakhta aansu aate hai
yaad aaye jo kufa eid ke din
kufe may phiraya...
tooti hai qayamat ye kaisi
dono pe nazar hai maula ki
muslim ki hameeda roti hai
betaab hai sughra eid ke din
kufe may phiraya...
zaalim se bachne ki khaatir
zindan se chudane ki khaatir
umeed yehi hai bachon ko
aayenge baba eid ke din
kufe may phiraya...
muslim ke yateemon ko sheh ne
seene se laga kar pyar kiya
ye haal yateemi ka logon
samjhi thi sakina eid ke din
kufe may phiraya...
ek waar ali ke sajde se
muslim ki shahadat tak pahuncha
yun aale nabi ko ummat ne
har baar rulaya eid ke din
kufe may phiraya...
jis ghar may koi mar jaata hai
sab aa kar pursa dete hai
hum kisko de maula mehdi
muslim ka pursa eid ke din
kufe may phiraya...
dastoor zamane se hai yehi
hum ahle aza ka baade namaz
hum sun ke masayib dete hai
zahra ko pursa eid ke din
kufe may phiraya...
dafnaya nahi kafnaya nahi
kaisi ye takallum ghurbat hai
kufe may musalman saare thay
muslim tha akela eid ke din
kufe may phiraya...