misle pehlu hai shakista qabre zehra dhoop mein
saaye mein baba ka rauza qabre zehra dhoop mein
gumbad e khizra ke saaye mein nahi rehte rasool
apni ummat ke sitam par ho rahe hai dil malool
dekhte hai roz aaqa qabre zehra dhoop mein
misle pehlu hai shakista...
kal jala zehra ka dar aur koi kuch bola nahi
aaj bhi khamosh hai sab koi kuch kehta nahi
dekhta hai shehr saara qabre zehra dhoop mein
misle pehlu hai shakista...
ek hi to hai mohamed mustafa ki kainaat
kya musalmano yehi insaaf hai bibi ke saath
saaye mein ahle madina qabre zehra dhoop mein
misle pehlu hai shakista...
ghurbate binte nabi par ro rahe thay khud ali
jab utha shab mein janaza dekh na paaya koi
dekhti hai aaj dunya qabre zehra dhoop mein
misle pehlu hai shakista...
maa to maa hai bhoolti manzar wo kis tarha bhala
haye be-gor o kafan tha dhoop mein bacha mera
aaj bhi karti hai girya qabre zehra dhoop mein
misle pehlu hai shakista...
qabr mein jaa kar bhi aansu ruk na payenge kabhi
do sitam sajjad ko tadpa rahe hai aaj bhi
saani e zehra ka parda qabre zehra dhoop mein
misle pehlu hai shakista...
din mein suraj ka safar ho ya ke ho tareeki shab
dono manzar hai azadaron ke rone ka sabab
qabre zehra par andhera qabre zehra dhoop mein
misle pehlu hai shakista...
isteghaase par ho farhan o takallum iqtetaam
parda e ghaibat utha kar aaiye jaldi imam
mustaqil hai mere maula qabre zehra dhoop mein
misle pehlu hai shakista..