ro ke zehra ne kaha phasliyan toot gayi
mera mohsin na raha phasliyan toot gayi
koi bhi dard ka manzar nahi zehra jaisa
koi athara baras mein nahi boodha hota
leke chalti hoon asa phasliyan toot gayi
ro ke zehra ne kaha...
haye kar denge wo hyder ke bhi sar ke tukde
tasht mein honge hassan ke bhi jigar ke tukde
hai ye aaghaz e jafa phasliyan toot gayi
ro ke zehra ne kaha...
zaalimon ne ali asghar se bhi kamsin maara
mujhko sholon mein jala kar mera mohsin maara
yun sitam mujh pa hua phasliyan toot gayi
ro ke zehra ne kaha...
haye zainab teri ghurbat mai kahun kya kis se
shaam mein tu bhi khadi hogi bahattar ghante
dil ye phat'ta hai mera phasliyan toot gayi
ro ke zehra ne kaha...
is liye baith ke padti hoon namazein aksar
baad baba ke huwe zulm aise mujh par
dard hota hai siyah phasliyan toot gayi
ro ke zehra ne kaha...
kund khanjar se mere laal ka kaatenge gala
haye aati hai mujhe yaad bahot karbobala
sabr ho kaise bhala phasliyan toot gayi
ro ke zehra ne kaha...
dard irfan o sharar kaise ho zahra ka bayan
dil hilaati hai azadaron ke bibi ki aza
zulm kuch aisa hua phasliyan toot gayi
ro ke zehra ne kaha...