Kanz e Aza

salaam maadare hussain

A noha (2012). Lyrics in Roman Urdu.

salaam maadare hussain


ya fatema ya tahera

khayrun nisa ya umme abiha


salaam maadare hussain


jabeen ne waqt pe likha hai bas yehi


maa ho to maadare hussain si


hussain paal ke jis ne diya zamaane ko

jabeen ne waqt pe likha bas yahi


maa ho to maadare hussain si

salaam maadare hussain


ye baat jaa ke kisi maa ke dil se puche koyi

tum apne laal ko maqtal me dekh paawogi

kaleja thaam ke wo maa kahegi sirf yehi

is imtehaan se guzri thi bas wahi


maa ho to maadare hussain si

salaam maadare hussain


hussain pushte faras se gire jo reti par

sarhaane aagayi dil thaame maadare muztar

laraz rahi thi khudaayi ye dekh ke manzar

har ek mauje alqamaa ye keh uthi


maa ho to maadare hussain si

salaam maadare hussain


jo dekha maa ne ke beta shadeed hai zakhmi to apne baalon se maqtal ko saaf karne lagi

tarap ke ruhe khadija ye ban me kahti thi

ye maa to sabr ki had se guzar gayi


maa ho to maadare hussain si

salaam maadare hussain


laeen aaya jo teghe sitam sambhaale huwe

sare hussain ko zaanu pe rakh liya maa ne

khud apne laal ke zakhmo se teer bhi khentche

labe rasool pe faryaad thi yahi


maa ho to maadare hussain si

salaam maadare hussain


gire the pyaar ke aansu pisar ke zakhmo par

hussain zibha huwe fatema ke haathon par

ye bain aaye the us dam ali ke hoton par

zameene karbobala keh ke ro pari


maa ho to maadare hussain si

salaam maadare hussain


ye hi thi mazharo irfan tarbiyat maa ki

jo karbala ke bayaabaan me rang laayi thi

khiraaj pesh kiya sayyada ko rab ne bhi

fizaa me gunjegi aawaaz ab yehi


maa ho to maadare hussain si

salaam maadare hussain


hussain ya hussain

kiya hussain ne reti pe shukr ka sajda

subhaana rabbi al aala labe hussain pe tha

ajeeb dard ka manzar tha haay waa waila


sawaar pusht pe qaatil tha saamne zahra

nazar ke saamne bete pe chal gayaa khanjar

tarap ke reh gayi jalti zameen par maadar phir is ke baad qayaamat ki wo ghari aayi

ghareeb bete ki mayyat bhi paayemaal huwi


dare khayaam pe zainab ye bain karti thi

mere hussain ko is zulm se bachaaye koyi

hussain hogaye paamaal kuch karo ammaa

pisar ke tukre ridaa me samet lo ammaa


jo laashen kar chuke paamaal ahle zulm tamaam

haram the nauha kunaa chaar samt tha kohraam

utha kar mashale haathon me aaya lashkare shaam

ridaayen tcheen ke saadaat ki jalaaye khayaam


ghame hussain ho phir khayaam ka pahraa

har ek maqaam pe zainab ke saath thi zahra