Kanz e Aza

Sar Peeto Momino

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Mir Bober Ali. Lyrics in Roman Urdu.

sar peeto momino hai shahadat batool ki

shab mein ali uthaate hai mayyat batool ki


girne se dar ke toot gayi saari phasliyan

kis dil se mai sunaaun musibat batool ki

sar peeto momino hai...


seede teher na paayi wo is zulm ki wajah

rukne ne paayi phir bhi ibadat batool ki

sar peeto momino hai...


dushman ke saare zulm ko seh seh ke ay ghazab

bilkul nidhaal hogayi haalat batool ki

sar peeto momino hai...


mohsin shaheed pehlu shikasta pidar ka gham

hogi rakhm ye kis tarha ghurbat batool ki

sar peeto momino hai...


athara saal mein hi wo dunya se chal basi

tadpa rahi hai bachon ko rehlat batool ki

sar peeto momino hai...


ahle haram mein ranj se mehshar bapa hua

ghar se nikal rahi hai jo mayyat batool ki

sar peeto momino hai...


bachon ko dekhte hi tadapne lage ali

yaad aa gayi jo unko wasiyat batool ki

sar peeto momino hai...


girya kuna hai zainab o kulsoom ay bober

hasnain ko rulaati hai furqat batool ki

sar peeto momino hai...